Baingan Tamater Ka Bharta Kaise Banaye.
Ingredients.
Baingan bhanta(golbala) - 200 gram.
Tamater - 3 piece
Aloo - 1 piece boil
Lahson ki kaliya - 5 se 6 piece
Hari mirch 4 piece
Pyaz - 1 piece
Hari daniya patti - thora sa
Mustard oil -1 tbsp
Namak sawad ke anusar
Banane Ki Bidhi.
Lahson ki kaliya ko cheel le 2 hari mirch ko bade piece me kat le .pyaz, 2 hari mirch, hari daniya patti ko chop ker le.
Ab baingan ko dho ker choote choote chire laga ker dekhe le ki baingan ander se kharab to nahi hai.chire lagane se do fayde hai phele baingan kharab hai to chire lagane se dikkega .dosre is chire me lahson ki kaliya, hari mirch ko baingan ki chire ki jagha per 1 lahson ki kaliya 1 hari ke piece ko bhar ker baingan me staffing ker de.is tarah jaha jaha chire lagaye hai uss jagha per lahson, hari mirch ki staffing ker de ge.aur chire ki jagha per 2 bund oil bhi dale ge.
Ab chalate hai baingan ko bhunne. Baingan tamater ka bharta banane ke liye gass stove per do tarike se bhun sakte hai. phele ki gass stove per jaal rak ker ulat plat ker bhune. dosra tarika ye hai baingan tamater ko bhari lohe ke taba per baingan, tamater ko rakh de.aur bade piyale se dak ker 10 se 15 minut ke ker bhune. 10 se 15 se bich me 2 se 3 bar baingan, tamater ko utat plat ker de. tamater phele gal jaye ga tamater kof bhun jaye to nikal le aur baingan ko 5 minut tak dak ker bhune.
Ab baingan aur tamater ka cover ko nikal le .gram hone ke karan haat ko pani se bhigale. Phir baingan tamater ka cover nikal le.ab plate me rakh ker spoon ya haat se baingan tamater ko mix (max) kare .mein 1 boil aloo ko bhi mix kerke milaye. aap chaye to boil aloo ko milaye .nahi to skip ker de.in sabko mix kerne ke bad chop pyaz, hari mirch, hari daniya patti. 1 tbsp oil, sawad ke anusar namak mila ker sab ko mix ker le.ab ye sarve kerne ke liye taiyaar hai .isse rice,dal ka saat parose. Issey aap apni pasad ke anusar chapati ka saat bhi kha sakte hai. Issey khane ke sawad me aezafa ho jata hai.
Aur bhi recipe ke liye iss blog per jaye.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें