Mitha Khichra Muharram. Recipe Kaise Banate Hai .
Ingredients.
☆ Basmati rice - 1/2 kilo gram
☆ chana dal - 100 gram
☆ ghee ya refined oil - 70 gram
☆ suger - 300 gram
☆ lemon juice - 2 tbsp
☆ badi elachi - 2 piece
☆ chooti elachi - 4 piece
☆ long - 4 piece
☆ dalchini - 1 inch ka 2 piece
☆ badam (almond ) - 8 se 10 piece
☆ kishmis - 25 piece
☆ khajoor - 1 piece
☆ kaura water - 4 bund
Mitha Khichra Muharram Recipe |
Cooking ke process.
Aaye banana start karte hai. Mitha Khichra ko mein do tarike se cook karna bataugi .
.Chana dal ko duo ker 1 hour ke liye saok hone ke liye rakhe de . aur Basmati rice ko alag bowl me dho ker 1/2 hour ke liye soak hone ke liye rakhe de.
Jab chana dal soak ho jaye to cooker me chana dal ko dale 1/2 glass water dale aur cooker ko band ker gass stove per rakhe ge.
chana dal ko cooker me jiyada na galaye thora galana (pakana) hai .dal thora gale aur dal khara rahe tab mitha khichra ka test accha rahe ga aur dekne me accha lage ga.cooker ko tez anch per 2 city aane de phir gass ka flame ko dimi ker ke 4 minut pakaye. 4 minut tak pakaye jane per gass ka flame band ker de.
Mitha Khichra method no 1 -
jo mein cooker mein banaugi .aasan method ye hai.
Badam ko chop ker le .ab gass stove per flame chalo ker ke cooker ko gass per rakhe ge.aur cooker me ghee ya refined oil dale.jab ghee ya oil gram ho jaye to badi elachi, chooti elachi, long, dalchini, dal ker karakne dege.
jab karakne lage jo Basmati mein ne soak kiya hai dale ge aur 3 tbsp lemon juice , boil chana dal dale ge . chop badam ,kishmis dale 11/3glass water dale aur saat me suger dale.
agar chana dal me boil ke bad bhi water hai to cooker me pakane me water 1 glass hi dale .aur cooker ko 2 citi tez anch per pakaye.
jab 2 citi Aaye to gass ke flame ko dhimi Ker ke 5 se 7 minut tak pakaye. jab 5 se 7 minut tak pakaye jaye to gass ka flame band ker de. aur cooker ko citi ko nikal le aur halke haat se mix kare.aur 2 se 3 bund kaura water mila le. mitha Khichra cooker me ban ker reddy hai .
Issey badam,kishmis, khajoor gal ker garnish kare.
Cooker me bani mitha Khichra serve kerne ke liye taiyaar hai.
Kadahi ya dagchi ke process .
Mitha Khichra method no 2 - jo kadahi ya dagchi me banaye ge.
Chana dal ko dho ker 1 hour ke liye soak hone de.aur Basmati rice ko bhi alag bowl me 1 hour ke liye dho ker soak ker le ge.jab chana dal saok hone jaye cooker me dale aur 1/2 glass water dale aur gass ka flame chalo ker de .cooker ko 2 citi tez anch per aane de phir gass ke flame dimi ker ke 5 minut tak pakne de. 5 minut ke bad gass ke flame ko band ker de. Chana dal jiyada na gale chana dal khara khara rakhe ge.
Ab gass kadahi ya dagchi rakhe ge.mein kadahi mein banane ja rahi hu. gass ka flame chalo ker ke kadahi ko rakhege. kadahi me ghee ya refined oil dale.jab ghee ya oil gram ho jaye to badi elachi, chooti elachi, long, dalchini, dale ge.jab ye sab karak jaye to Basmati rice dal ker bhune aur Basmati ka double water (Basmati rice 1/2 kg hai to water double se thora kum pani dale ge ya Basmati rice 1 glass hai to water 2 glass se thora kum pani dale ge) ab Basmati rice ko dak ker gass ke flame ko tez ker tab tak pakaye jab Basmati rice me boil Aaye. phir 2 tbsp lemon juice mila de aur chana dal mila de aur flame ko dhimi Ker dege. jab rice galne lage to check kerke dekhe. Jab rice gal jaye aur ka pani sukhne lage to suger ,dry fruit mila ker halke haat se mix ker de .aur isse dimi anch per Suger ko milne tak 8 se 10 minut tak pakaye. aur suger bhi puri tarah Basmati rice me absorb ho jaye aur mitha Khichra ka texture dakne khila khila ho.is ke 2 tbsp lemon juice rice ko khila rakne me ye kaam kerta hai. 2 se 3 bund kaura water mila le. ab ye ban ker reddy hai. Ye recipe Muharram me hi banta hai .Lakin aap kabhi bhi bana ker kha sakte hai.is ka test chana dal dalne se aur bhi bad jata hai jo kahane me alag sawad deti hai.gramagram Issey parose. isse plate me nikal ker badam, kishmis ,khajoor se garnish kare ye serve ke liye ready hai.
Note. Lemon juice dalne se rice khiry khily rahti hai. Chana dal halka gala hona chahiye .chana dal dalne se Basmati Khichra ke zakia bad jata hai.
Ye recipe kaise lagi comment jaror kare.aur recipe ki jakari ke liye is LINK per jaye.
,
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें