Dhaba Style Paneer Masala Recipe Kaise Banaye .
Ingredients.
2 person ke liye.
🍚 100 gram - paneer
🍚 2 medium - pyaz
🍚 1 bada - tomato
🍚 8 peice - lahson ki kaliya
🍚 1 inch - adrak
🍚 1 - hari mirch
🍚 1/3 - jira
🍚 4 tbsp - fresh cream ya fresh malai
🍚 2 piece - chooti elachi
🍚 2 piece - long
🍚 1 inch - Dalchni
🍚 1/4 - Shah jira
🍚 1 tbsp - haldi powder
🍚 1/2 tbsp - lal mirch powder
🍚 1 /2 tbsp - kasmiri mirch powder
🍚 1 tbsp - coriander (daniya )powder
🍚 1/2 tbsp - gram masala powder
🍚 6 piece - kaju (caswnut )
🍚 6 piece - badam (almond)
🍚 2 tbsp - curd (dahi)
🍚 1 tbsp - ghee paneer fry kerne liye
🍚 1 cup - refined oil ya gheevening
🍚 hari daniya patta thora sa
🍚 salt sawad ke according
Dhaba Style Paneer Masala Recipe Banane Ki Bidhi .
Paneer ko choote choote slaice me kat le.ab gass stove per frypan rakhe aur kise dimi, medium anch rakhe.fry pan me 1 tbsp ghee dale.ghee gram hone per paneer ke slaice ko dal ker halka halka fry kare. Paneer ko 2 minut fry karke alag rakh le.
Ab chalate hai dhaba Style Paneer Masala banane ke liye. Pyaz , tamater ko chop ker le.ab gass per frypan rakhege aur 1 tbsp refined oil dale jab oil gram ho jaye to 1/3 jira dale chopped pyaz, tamater, hari mirch dale medium anah per 3 minut ke liye chalate hoye soft kare.isse jiyada na pakaye .kyuki is ka paste banana hai.ab gass band ker de. isse thanda hone ke bad mixture jar mein dale ker paste baname aur adrak ,lahson ka alag paste bana le. Kaju aur badam ka bhi paste banale.
Ab gass stove per chateau hai. gass stove per kadahi rakhe.aur gass flame ko caloo kare ge. jab kadahi gram ho jaye to 1 cup refined oil ya ghee dale ge. Oil ya ghee gram ho jaye to chooti elachi, long, dalchini, Shah jira ,dale ker karakne dege.puri tarah karak jane per adrak, lashon, ka paste dale ge aur bhune. jab ye bhun jaye to pyaz,tamater, hari mirch kaise paste dale ge aur isse medium, dimi anch per rakh ker bhune ge ab is me haldi powder, lal mirch powder, bhuna houa daniya powder, kasmiri mirch powder dal mila le aur 1/2 cup pani dal ker bhune jab tak oil masala se alag na ho jaye. jab masala se oil alag hone lage to 2 tbsp dahi dal ker bhune.jab oil masala se alag hone lage aur masale puri tarah bhune jaye to kaju aur badam ka paste dal ker bhune masala bhune aur 1 gass water dale aur masale ke thick gravy
bana le aur sawad ke according namak dale.
Jab masala me Boil aane lage to halka fry paneer dale .5 se 7 minut tak dak ker low to medium anch per pakaye.aur is me gram masala powder dale. jab paneer masala ke saat puri tarah pak jaye gass ka flame band ker de..
Ab ye dhaba Style Paneer Masala Recipe sarve kerne ke liye ready hai. Issey half plate me nikal ker hari daniya patta dal ker garnish kare aur puri , roti , parathe, rice, batore ke saat garmagarm parose . dhaba Style Paneer Masala Recipe tasty hai ye paneer masala sab ko bahut pasad Aaye gi. isse bana ker jaror khaye aur ghar me sabi ko kilaye.
Aur bhi recipe dekne ke liye iss recipe per jaye.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें