Sabudana Katlet Recipe. Home made Sabudana snacks recipe kaise banay.
Ingredients
Aloo medium - 8 pice
Sabudana choota bala - 100 gram
Frozen matar - 1/2 cup
Maida - 4 tbsp
Rice flour (chabal ka atta) - 2 tbsp
Peanut (mongfali) - 50 gram
Adrak - 1 inch
Hari mirch - 4 pice
Jira - 1/4 tbsp
Haldi powder - 1/2 tbsp
Lal mirch powder - 1/4 tbsp
Hari daniya patta
Chat masala - 1/3 tbsp
Refined oil - 300 gram
sawad ke anusar namak
Chatni ke liye
Hari daniya patta - 20 gram
Podina - 15 gram
Hari mirch - 5 pice
Imli - 4 pice
Namak sawad ke anusar
Iss Method se banaye
Sabudana ko dho ker thora sa pani m 3 gante ke liye soak ker lege. Peanut , adrak , hari mirch ko dardra mixjar mein paste bana le .
ye soak ho jaye to ek cloth per phela de. Aloo ko dho boil ker le .jab boil ho jaye cheel le .
ab gass stove per frypan rakhege 1 tbsp oil dale oil gram ho jaye to jira dale jira karak jaye to haldi powder, mirch powder dale aur aloo aur crush Peanut , ,frozen matar, 2 tbsp Rice flour dal ker bhune.bhune mein chat masala, namak sawad ke anusar dale.ab gass stove se utar le.
Jab aloo ka staff thanda ho jaye to andekar shape ka golakar banale.
Ab maidan ka ghara paste taiyaar kare aur sabudana ko ek plate mein phela le. Aur gass stove per kadahi rakhe aur refine oil dale aur puri tarah gram hone de .
aloo ka stuff ko maida ke ghool (paste) mein dal ke dip kare .
uske bad sabudana mein lagaye (lapete)jab puri tarah lapet jaye to gram oil mein dalte jaye.aur gass stove ke anch ko dimi ker ke 7 minut ke liye pakaye. Aur jab ye kubdurat ho jaye to nikal le phir dosri bar dale .
Issey tarah sab ko fry ker le.
Ab Chatni ko taiyaar kerege. daniya patta, Podina ko dho ker mixer jar mein dale hari mirch dale , imli ka plup dale sawad ke anusar namak dal ker graind ker le.aur ek piyali mein nikal le.
main aam ke mithi Chatni jo gur ki bani hai usse bhi sabudana Katlet ke saat sarve kiya hai.
Sabudana Katlet ko namkeen Chatni, aur mithi Chatni ke saat sarve koya hai .ye nasta mein khaya ja sakta hai. Ya gest ko bhi serve ker sakte hai ye gram a gram khane mein tasty lagta hai.
Ye sabudana Katlet ko banane ker freez mein rakhe sakte hai .jab khane ka dil kare gram gram fry kare aur sarve kare.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें