Chole Recipe Banaye Nay Andaz Me
Ingredients
▫ 2 cup saok(phola) kabli chana
▫ half tbsp tea (chay patty)
▫ 1 bada boil aalo (potato)
▫ 2 pyaz
▫ 1 inch adrak
▫ 10 lahson ki kaliya
▫ 4 pice clove (longe)
▫ 2 tomato
▫ 1 cup dahi
▫ half tbsp jira
▫ 1 bay leaf(tez patta)
▫ 1 inch dalchini
▫ 2 khara lal mirch
▫ 1 tbsp haldi powder
▫ half tbsp lal mirch powder
▫ 1 tbsp daniya powder
▫ 1 tbsp chole masala
▫ 3 bada tbsp mustard oil
▫ thora sa daniya patti
▫ sawad ke ansar namak
Cook karne ke method
Soak kabli chane ko cooker m dale tea ki 1 cup chay banaye aur chay ko cchan ker cooker ke chane me milade 1 tbsp namak milale ab cooker band ker ke gass stove per
tez anch rakhe jab cooker 5 citi de to gass kI anch ko dhimi ker ke 10 minut tak pakaye.tab tak masala banale 2 pyaz kat le 10 lahson 1 inch adrak ko mixerjar me( piss) paste bane le.10 minut ke bad gass stove ki anch ko band kare aur cooker khol le. 2 tamater 1tbsp gala houa chana mila ker mixerjar me paste bana le.
ab chole ke liye masala gass per banale.gass per karahi rakhe 3 bada tbsp oil dale oil gram hone per jira dale jira karakne per dalchini ka pice dale 1 tezpatta dale 2 khari lal mirch dale phir pyaz lahson adrak ka paste dale aur bhune ab haldi powder,lal mirch powder ,daniya powder dale jab ye bhun jaye to tamater chane ka paste dale aur bhune iss ke bhun jane per
1 cup dahi dale aur chalate hoye dahi ko bhune.
bhun ker ye oil chor de to iss me kabli chana milale aur max kiya houa aloo milale aur 1 tbsp chole masala namak sawad ke anusar milale ab chole naye andaz me ban ker reddy hai. ab ise piyla ya donga me nikal ker daniya patta dal ker serve kare.ye naye andaz me chole ka sawad alag hai .isse puri , batore, rice, chapati ke saat serve kare. ye recipe pasad aye to comment kare share kare.
Note.
Chole ko aisa galaye ke mix nahi hoti.
Tab khane me test accha a ayega.
टिप्पणियाँ
एक टिप्पणी भेजें